Khajoor aik nehayat Quwat bakhsh phal hei. Isko Sehra ki roti bhi kaha jata hei. Taza phal ko Khajoor aur khushk phal ko Chuhara kehte hein. Yeh ziyada tar Saudi Arab, Iran, Misr, italy, Spain aur Russia mein peda hota hei.
Khajoor ek ghizayi ajza:-
Tamam purani aur jadeed researches yehi baat saabit karti hein ke Khajoor aik ghizayi ajza se bharpoor phal hei. Har 100 Gram Khajoor mein taqreeban 315 Calories payi jaati hein.
Khajoor Ke Beshumaar Fayde:-
Khajoor ka mizaj Garm aur Tar hota hei. Badan ko taqat deti hei. Naya aur saaf Khoon peda karti hei isi liye kamzor logo ke liye behtreen ghiza hei. Khas tor per sardi ke mausam mein iska istemal behad mufeed hei.
Khajoor mayda ki islah karti hei. Iska regular istemal Qabz ka khaatma karta hai. Yeh aik hazam ke amal mein madad dene wala phal hei, albatta khud der se hazam hoti hei. Jism mein iske hazam ho jaane ke baad iska bach jaane wala mawad, Aanto mein jaa kar harkat peda karta hei. Jiski waja se Qabz door karne mein madad milti hei.
Khajoor Mardana taqat mein behad izafa karti hei. Peshab ki jalan khatam karti hei. Kisi bhi qisam ka wurm ho khajoor khaane se tehleel ho jata hei. Faalij aur Laqwa ke marz mein bhi iska khaana mufeed hota hei.
Kuch mazeed Khajoor Ke Fayde:-
Khajoor Dil, Jigar aur Dimagh ki kamzori ko door karti hei. Gurdo ko bhi quwat deti hei. Saans ki takleef mein aaram pohanchati hei.
Dil ki kamzori door karne ke liye Khajoor ke chand daane raat bhar paani mein bhigo ker rakh dein. Subha uth kar Guthliya nikal kar in bhigoyi hui Khajooro ko isi paani mein masal kar pee lein. Yeh amal hafte mein 2 baar kiya karein. Kuch arse mein Dil ki kamzori door ho jaye gi.
Jinsi Kamzori door karne ke liye aap chand Khajoor ke daane bakri ke doodh mein raat ko bhigo kar rakh dejiye. Subha Guthliya nikal kar Khajooro ko masal dejiye aur isi doodh mein rehne dejiye. Ab is doodh mein thora sa Shehed milaiye. Iske ilawa pisi hui choti Ilaychi ki aik chutki milaiye aur pee lejiye.
Zabardast👍👍
ReplyDelete