Health foods and Nutrition, diet plans, benefits of vegetables, meets, nuts, oats, fruits, beauty tips, weight loss tips for fat people and weight gain tips for thick people, We are here for your healthy happy life. Note: all this content is general knowledge its collect from other places for your help if you want more information kindly contact your Doctor. Thanks for visit. Please follow/subscribe us for more informative knowledge.

Health Diet Menu

Health foods, nutrition, diet plan, benefits of vegetables, meets, nuts, oats, fruits, We are here for your healthy happy life.

Tuesday, June 16, 2020

Health Benefits Of Red Beans (Lal Lobia ke Fayde)



Lobya ka banatati naam phaseolus vulgaris l hai, English mein ise Common Bean kaha jata hai aur is ka talluq family fabaceae se hai. Lobya ki dunya mein kayi aqsam milti hain hamare han aam tor par surkh,sufaid aur gulabi rung ka lobya milta hai is ke poday par sufaid pile ya jamni phool lgte hain is ki phalli pod jis ke andar beej hote hain ka rung sbz ya pila hota hai. 

Lobya protein ka behreen zariyah hai, is ka istemaal diabetes ke mareez ke liye faidah mand hai kiun keh khane ke baad khoon mein shakkar ki mqdar ko fori barhne nahi deta. Cholestrole ko km karta hai. Is ka istemaal yaaddasht ko behtar banata hai kiun keh is mein mojood thiamin dimaghi fayal ko behtar banata hai. Tawanayi muhaiya karta hai is ka istemaal folad (iron) ke hosool ke liye gosht se ziadah behtar hai kiun keh is mein calories kum aur chiknai hoti hhi nahi hai. 

Lobya mein magnesium ki mojoodgi khoon ke bahao ko behtar banati hai. Dil ki bimariyon se mehfooz rakhta hai, is mein folet mojood hai jo rozanah darker folet ka 57.3 percen mohaiya karta hai. Is mein hal pazeer aur na hal pazeer donon fiber (reshe) paye jate hain, aik cup lobya rozanah dar kar qudrati reshe ka 45.3 percen mohaiya karta hai hal pazeer fiber sfra(jis mein cholesterol hota hia) ke sath mil kar gel bana kar jism se bahir nikal deta hai jbkeh nahal pazeer fiber( reshah) qbz se bacha ta hai. Hfte mein do ya teen bar lobya ya dalon ka istemaal khawateen mein breast cancer ke khatre ko 24 percen tk km karta hai.

Lobya mei aik tress mnzil Molybdenum paya jata hai jo keh aik enzyme Sulfite Oxidase ka ahum hissah hai yeh enzyme sulfide ke zeharilay asrat ko khatam karta hai. Sulfites aam tor par dabbon mein bnd khanon mein bator preservative istemaal kia jata hai jin logon mein molybdenum ki kami hoti hai inhein sulfites ke istemaal se sar dard, dil ki dharkan ka tez hona waghirah jaisi takalef ho skti hain, lehaza lobya ka istemaal in mein Molybdnum ki satah ko durust rakhe ga kiun keh aik cup lobya rozanah darker Molybdenum ka 177 percen mohaiya karta hai. 

Lobia mein manganese bhi paya jata hai jo keh na sirf tawani ke hosool ke amal mein muawin hai balkeh bator mana tkseedi murakkab bhi kaam karta hai. 

Lobya ki phalli (Pod) mein bhi adoyati khasoosyaat payi jati hain, yeh blood pressure ko kum kati hain, diabetes mein bhi is ka istemaal karwaya jata hai, is ke liye tazah phalli ka istemaal kia jata hai, is se bani chai in amraz mein faidah mand hai. 

Dropsy, Sciatica (arq un nisa), joron ke mazman amraaz (chronic Rheumatism) gurday aur masane ki takaleef, uric acid ka jama hona, doran hamal pishab mein albumin ka ziya (loss of albumin in urine during pregnancy) is ka berooni istemaal ulcer aur zakham (sores ke mandmil hone mein madad deta hai.

Share:

1 comment:

If you have any doubt, please let me know.

Sheikh's & Co. Powered by Blogger.